Sunday, July 17, 2022

Qarz ki Adaigi ka Wazifa

 Qarz jaisay marz k liye essay pahlay main ek do amal meray blog me likh chuka hun.ye amal Ahaadis me aaya hain es amal ka asar yaqini hain.aur jo bhi meray bhai ya bahan qarz ki aafat me mubtila hain es amal ko puray qakin se karay.insha Allah zaroor zaroor najat milaegi aur aaenda kabhi qarz k marz me mubtila nahi hongay.



Kuch dost qarz me mubtila hotay hain aur wo mujsay es masalay k liye koi taskheer arwah ka amal mangtay hain taki usay hasil karkay wo apnay mas’alay suljalay.lekin jab fikr e mash ho to aisay aamal kamyab nahi hota aur aaj k daur me ek chillay me aisay aamal me kamyab hona na mumkin sa hain esliye bahtar to ye hi hain ki sab se pahlay apnay aap ko sunnat w shariyat k paband bana liya jaen.rizq halal ki koshish me rahay.gibat juth kinna,hasad,bad nigahi jaisay gunaho se dur rahnay ki koshish kartay rahay.rozana durood e pak aur astagfaar ki aaadat banalay aur sab se barhi bat hain ki Allah taala se na ummid na ho.

kyu k mujay kai mails aur msg aisay hotay hain jismay saaf Allah se na ummidi zahir hoti hain.duniya ko hamaray nabi e pak sallallahu alayhi w sallam ne Jail qaraar diya hain.to Jail ya qaid me bhi kabhi Rahat hoti hain? Aur agar kuch Rahat hain bhi to ye Kitni barhi neamat hain? Ham jis maqsad k liye bhejay gaye hain usay yad Rakhay aur kana’at paida karay.Allah ka shukr ada kartay rahay.insha Allah jail me qaid me bhi rahat milti jaegi.aur duniya ka koi bhi insan ho uski zindgi me khushi kam gham ziada hi milaegay.kyu? to takhlik e aadam k waqiye ka muta’ala kar lijye samj aajaega.


Khair sab se pahlay to Allah Rabbul izzat ki bargah me apnay Habib sallallahu alayhi w sallam aur unki Aal w Aulad aur Sahaba e ikram k tufayl dil se dua hain ki Agar meri choti si dag dag jaoli me kuch nekiya bhi hain jo kabil e kabool hain to meray tamaam Ashiq e Rasool bhai aur bahan ko qarz ki bala se nijat ata karay aur iman w izzat ki hifazat ata karay aameen…ya Rabbul aalmeen…bi jahin nabi a kareem…!


Urooj mah me yani chand 1 se 14 k darmiyan kisi bhi jumerat se ye amal shuru karna hain.

Isha ki namaz k bad gusal karkay pak kapday pahan kar khushbu laga kar kisi goshay e tanhayi  me chahay ghar me kamray k kisi konay me ya masjid me kisi konay me do rakat namaz hajat ada e qarz ki niyyat se parhay.har rakat me su.fateha k bad su.ikhlas 3 martba parhay.

Uskay bad 11 martba durood e pak[agar durood e tunajjina sharif parhay to behtar] parhay aur phir zail ki dua ko 200 martba parhay….



اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكْ
Allahumma Akfini Bi Halalika 'An Haramika Wa Aghnini Bi Fadlika 'Amman Siwak.

Phir 11 martba durood e pak parhay.


Pahlay din jis waqt shuru kiya tha usi waqt pe phir rozana parha karay.ab rozana amal se gusl karnay ki ya namaz e hajat ki zaroorat nahi.lekin parhezgari ki zindgi guzara karay yani gunah se bachay shariyat ki pabandi ki koshish me rahay.amal k bad Allah ki bargah me gidgida kar dua manga karay.40 din ka ek chilla hain.insha Allah 40 din me aapka qarz ada ho jaega ya kam se kam uskay ada honay ka koi zariya Allah paida kar dega.aur agar dusra chilla karaengay to qarz ada ho kar maal me khair o barkat paida ho jaegi rizq me barkat hogi ki tangdast na rahengay aur agar 3ra chilla bhi karengay to insha Allah aap dusro ki madad k kabil rahaengay aur rozana ta zindgi parhtay rahaengay to kabhi mohtaj na hongay.


Durood e Tunajjina Sharif ye hain…..


ALLAHUMMA SALLI ALA SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIW WA ALA AALI SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIN SALAATAN TUNAJJINA BIHA MIN JAMI'IL AHWAALI WAL'AFAATI WA TAQDILANA BIHA MIN JAMI'IL HAAJAATI WATU TAHIRUNA BIHA MIN JAMI'IS SAYYI AATI WATAR FA'UNA BI HAA A'LAD DARAJAATI WATU BAL LIGHUNA BIHA AQSAL GHAAYAATI MIN JAMI'IL KHAIRAATI FIL HAYAATI WABA'DAL MAMAATI INNAKA ALA KULLI SHAY IN QADEER.

0 comments:

Post a Comment

Global Visa Consultant Lahore

Address: 274, Block F Phase 1 Johar Town, Lahore, Punjab 54000
M: +923 111 762 324
E: globalvisa30@gmail.com
URL: globalvisaconsultant.com
E: info@globalvisaconsultant.com

Recent Comments

Categories

10 Favorite Foods Of The Holy Prophet ﷺ (1) 100. Surah Al-Adiyat (1) 101. Surah Al-Qari'ah (1) 102. Surah At-Takathur (1) 103. Surah Al-Asr (1) 104. Surah Al-Humazah (1) 105. Surah Al-Fil (1) 107. Surah Al-Maun (1) 108. Surah Al-Kauthar (1) 110. Surah An-Nasr (1) 111. Surah Al-Lahab (1) 113. Surah Al-Falaq (1) 114. Surah An-Nas (1) 13 Importent Rulings concerning Salam (1) 3 Miracles Of Prophet Muhammad (PBUH) at Cave of Thawr (1) 4 Khalifa of Islam. (1) 40 Hadees Qudsi (1) 40 Hadith (1) 40 Hadith Collection (1) 40 Hadith Selection (1) 40 Rabbana (2) 55. Surah Ar-Rahman (1) 56. Surah Al-Waqiah (1) 57. Surah Al-Hadid (1) 58. Surah Al-Mujadilah (1) 59. Surah Al-Hashr (1) 6 Facts About Dome of Masjid e Nabawi (1) 60. Surah Al-Mumtahanah (1) 64. Surah At-Taghabun (1) 65. Surah At-Talaq (1) 66. Surah At-Tahrim (1) 67. Surah Al-Mulk (1) 68. Surah Al-Qalam (1) 69. Surah Al-Haqqah (1) 7 Hadiths About Imam Hasan and Imam Hussain (RA) (1) 70. Surah Al-Ma'arij (1) 71. Surah Nuh (1) 72. Surah Al-Jinn (1) 73. Surah Al-Muzzammil (1) 74. Surah Al-Muddaththir (1) 75. Surah Al-Qiyamah (1) 76. Surah Al-Insan (1) 77. Surah Al-Mursalaat (1) 78. Surah An-Naba (1) 79. Surah An-Naziat (1) 80. Surah Abasa (1) 82. Surah Al-Infitaar (1) 91. Surah Ash-Shams (1) 92. Surah Al-Lail (1) 93. Surah Ad-Duha (1) 94. Surah Al-Inshirah (1) 95. Surah At-Tin (1) 96. Surah Al-Alaq (1) 97. Surah Al-Qadr (1) 98. Surah Al-Bayyinah (1) 99. Surah Al-Zilzal (1) A Reminder For All The Worlds – Quran (1) Ablution (1) Ada e Qarz ka Wazifa (1) Ahad Nama (1) Al-Mundhiri on love for the sake of Allah (1) Allah God Is The Most Beneficent And Mericiful (1) Allah multiplies the reward for good deeds (1) Ayat-e-Shifa (1) Basic Teachings of the Holy Quran (1) Beautiful Dhikr (1) Benefits of Ayatul Kursi (1) Benefits of Darood Sharif (1) Benefits of Dua Qufal Six (1) Benefits of Dua-e-Hajat (1) Benefits of Durood Lakhi (1) Benefits of Durood Muqaddas (1) Benefits of Durood-e-Kabristan (1) Benefits of Hizbul Bahr (1) Benefits of Nad-e-Ali (1) Benefits of Patience (1) Benefits of Ramadhan (1) Benefits of Surah Al Kahf (1) Benefits of Surah Fath (1) Benefits of Surah Jinn (1) Benefits of Surah Muzammil (1) Benefits of Surah Nooh (1) Benefits of Surah Qaf (1) Benefits of Surah Sajdah (1) Benefits of Surah Yasin (1) Benefits of Surat Al-Falaq (1) Benefits of Surat Al-Fatiha (1) Benefits of Surat Al-Kafirun (1) Benefits of Surat An-Nas (1) Best Dua For Travelling – To Have Safe Journey (1) Beware of the satanic idol of desire (1) black magic cure (1) black magic treatment (1) Blessed Sahabiyyaat and the sacred relics of the Holy Rasool ﷺ (1) Blessings of Ramadhan (1) Causes of Inheritance (1) CONCEPT OF TAWBAH IN ISLAM (REPENTANCE) (1) cure of black magic (1) cure of magic (1) Cure with Manzil Dua (1) Daily Masnoon Wazaif (1) Darood Mustaghas (1) Death of Prophet Muhammad (peace be upon him) (1) Did You Know This About Quran?! (1) Discription of heaven in islam (1) DU’AS MADE BY HAJI FOR OTHERS (1) Dua Qadah Muazzam (1) Dua Qufal (1) Dua Qufal Six (1) Dua Saifi (1) Dua Saifi Benefits (1) Dua Syed-ul-istighfar (1) Dua-e-Aman (1) Dua-e-Hajat (2) Dua-e-Hajat Benefits (1) Duaa Hajat (1) Durood Kibrit Ahmar (1) Durood Lakhi (1) Durood Lakhi Benefits (1) Durood Muqaddas (1) Durood Muqaddas Benefits (1) Durood-e-Kabristan (1) Durood-e-Kabristan Benefits (1) Easy Good Deeds (1) Equal protection of law for Muslims and non-Muslims (1) Everything Allah decrees is good for the believer (1) Facts about Muslim People (1) Fasting (1) Follow your conscience in Islam (1) Friends of Allah (1) Ghusl (1) HAZRAT SAYEDNA BILAL HABASHI (1) History (1) History of islam (1) Hizbul Bahr (1) Hizbul Bahr Benefits (1) How to achieve mindfulness in Islam (1) HOW TO CURE LAZINESS? (1) how to do Istikhara (1) Imam Ali (RA)-Birth Aniversary In The Month Of Rajab (1) Impeccable Character of Siddeeq-e-Akbar (1) Importance And Major Events Of Dhu al-Qidah Islamic Month (1) Importance And Major Events Of Shawwal Islamic Month (1) Importance of Wudu (1) Introduction to Methodology for Study of the Quran (1) Is Life Insurance Haram or Halal In Islam? (1) Islam: Misunderstood throughout the World (1) Islamic Life | Islamic Way of Life (1) islamic wazifa for rizk (1) islamic wazifa for rizk in urdu (1) islamic wazifa for rizq (1) Istikhara (1) Istikhara benefits (1) Istikhara in islam (1) Istikhara in quran (1) Jihad against the soul in Islam (1) job ke liye wazifa (1) Karz Utarne ka Wazifa (1) Karz Utarne ke Dua (1) Khalifa in Islam (1) Khalifa meaning (1) Life Of Prophet Muhammad (1) Magic Cure with Manzil Dua (1) magic treatment (1) Manzil Dua (1) Manzil Dua for Cure (1) MARRIAGE IN ISLAM. (1) method of Istikhara (1) Mindfulness in the Quran and Sunnah (1) Misconceptions Related To Muslims (1) Nad-e-Ali (1) Nad-e-Ali Benefits (1) Nazar e Bad (1) Nazar e Bad ka ilaj (1) Nazar e Bad ka islami ilaj (1) Nazar e Bad ka khatma (1) Nazar e Bad ka Tor (1) Nazar e Bad ke Dua (1) Nazar e Bad se bachwo (1) Night Prayers in Ramadan/Fasting (1) Obedience to parents and its limits (1) Pareshani Door Karne ka Wazifa (1) Past and Future (1) Patience (1) Patience in the Qur’an (1) Piety is the Highest Standard of Excellence (1) powerful dua for rizq (1) powerful wazifa for rizq (1) Prophet (pbuh) in building an ideal society (1) Prophet Ibrahim (asws): The Friend of Allah (swt) (1) PROPHET SALIH (PBUH) AND HIS CAMEL (1) Protection (1) Purpose & Importance of Wudu (1) Qarz ka Wazifa (1) Qarz ki Adaigi ka Wazifa (1) Qarz ki Adaigi ke Dua (1) Quotes And Life of Zainab Bint Ali (RA) (1) quran (1) Quran As the Ultimate Source of History (1) quran rizq ki dua (1) Quran Tilawat (1) qurani surah benefits (1) qurani wazifa for rizq (1) rabbana (1) rabbana in qurani (1) Ramadan Kareem (1) Ramadhan (1) Ramadhan Khulasa-e-Quran (1) Ramzan (1) Read quran (1) Ruling on cutting nails during the monthly cycle (1) Sabr (1) Salaat al-Tawbah (the Prayer of Repentance) (1) Salatul Hajat (1) Science Proves Prophet Muhammad’s Sunnah Prevents Brain Damage in New Borns (1) Squandering and Miserliness (1) Status of Teachers in Islam | Rights of Teachers (1) Sunan and Manners Of Travelling (1) Surah Al Kahf (1) Surah Al-Fatihah (1) Surah An Najm (1) Surah At Tur (1) Surah Fath (1) Surah Fath Benefits (1) Surah Jinn (1) Surah Muzammil (1) Surah Nooh (1) Surah Nooh Benefits (1) Surah Qaf (1) Surah Sajdah (1) Surah Yaseen ka Amal (1) Surah Yaseen ka Anmol Amal (1) Surah Yaseen ka Wazaif (1) Surah Yasin (1) Surah Yasin Benefits (1) Tangdasti Door Karne ka Wazifa (1) Tangdasti Door Karne ke Dua (1) tangdasti ka hal (1) Tangdasti ka Wazifa (1) tangdasti ki Dua (1) Taqwa (1) The Full and Complete Isra and Miraj Story (1) The House Of Allah (1) The Ka’aba (1) The Night Journey! (1) The Prayer Of Need (1) The Punishment of Being Sinful (1) The right way to defend Islam (1) The Rise of Islam (1) The Spiritual Purity (1) Things To Follow In Islam For A Better Life (1) Triple Talaq and Nikah Halala are major sins (1) TURN TO ALLAH (1) TWO WAYS TO SUCCESS (1) Types of Patience (1) v81. Surah At-Takwir (1) verses of quran (1) verses of rabbana (1) Views of Islamic scholars (1) Virtues of reading Surah Al-Muzzammil (1) War is deceit? Lie to unbelievers? (1) Ways of Treating Magic (1) Wazaif e Ghawsia (1) Wazaif e Ghawsia Benefits (1) Wazaif of Week (1) What Can You Do in 10 Minutes (1) What happened at Dhul Khalasah? (1) WHAT IS DUA? (1) What IS Islam An overview For A Non -Muuslim (1) What is Islamic studies? (1) what is Istikhara (1) What is Patience (1) What Is Taweez (1) What You can do in 1 Minute (1) wudu (1) ya rabbana (1) Ya Salamo (1) Ya Salamo ka Amal (1) Ya Salamo ka Wazifa (1) Zakat (1) Zakat Ul-Maal (1)